Sugar Ki Bimari Ka ilaj in Urdu
Lag bhag har kitcehn mein mojood aik aam cheez blood sugar ko control karne mean madad day sakti hai . yeh baat aik tibbi tehqeeq mein samnay aayi .tibbi jareeday journal of Endocrine society mein shaya tehqeeq ke mutabiq daar cheeni ka ziyada miqdaar mein istemaal waqt ke sath blood sugar ko control karne ke iqdamaat ko behtar bananay mein madad deta hai .
America ke Jocelyn Diabetes center aur janoobi Korea ke Korean Medicine clinical trial center ki is mushtarqa tehqeeq mein 51 raza karon ko shaamil kya gaya tha .
un mein se nisf ko 12 haftay tak rozana 3 baar 500 mili gram daar cheeni spliment diya gaya jabkay deegar ko aik Medicine placebo ka istemaal karaya gaya .
Aaghaz ke 6 hafton mein dono groups mein koi numaya farq dekhnay mein nahi aaya, taham 12 hafton baad daryaft kya gaya ke jin afraad ko daar cheeni spliment istemaal karaya gaya tha, un ke blood sugar control mein behtari dekhnay mein aayi .
Jin ke mutabiq kahe months tak daar cheeni ki ziyada miqdaar blood sugar ki satah ko mustahkam rakhnay mein madad deta hai jabkay is ke diabities type 2 ke mareezon par kisi qisam ke muzir asraat bhi muratab nahi hotay .
ic tehqeeq mein daar cheeni ke is faiday par tehqiqaat ka maqsad aisay afraad ke liye mehfooz aur sasta ilaaj daryaft karna tha jo diabities type 2 se pehlay ke marhalay pari Diabetes ka shikaar hotay hain .
Diabities type 2 duniya mein sab se aam amraaz mein se aik hai jis ke shikaar afraad ki tadaad 46 crore se zayed hai .
Mohqiqeen ka kehna tha ke is hawalay se mazeed shawahid daar cheeni ko high blood sugar ke mehangay aur nuqsaan da ilaaj jaisay surgery aur adwiyaat ke muqablay mein aasaan, kam qeemat aur saada mutabadil ke tor par istemaal karne ka mauqa mil sakay ga .
2017 mein british heart Foundation ki tehqeeq mein bataya gaya tha ke daar cheeni ka rozana istemaal ziyada charbi wali ghzaon ke manfi asraat ko rivers karne samait heart attack ki rokkk thaam mein madadgaar saabit ho sakta hai .
Haqiq mein yeh baat samnay aayi ke daar cheeni jism ke anti Oxidant aur waram kash nizamon ko harkat mein latee hai jabkay charbi ke amal sust kardeti hai .
Tehqeeq ke douran choohon ko 12 haftay tak ziyada charbi wali khaano ke sath daar cheeni ke Supplements ka istemaal karaya gaya .
nataij se maloom howa ke un choohon ka wazan kam hwa jabkay tond ki charbi bhi ghatt jati hai .
isi terhan khoon mein sugar, insoline aur charbi ki satah sehat mand satah par pohnch gayi .
mohqiqeen ka kehna tha ke nataij se yeh Andia milta hai ke daar cheeni ziyada charbi wali khaano ke muzir asraat ko kam karne mein madadgaar masalha saabit hota hai .