Mobile Pani MeinGir Jaye To Kya Karen
Agar mobile pani mein gir jaye to kya karna chahiye?
Dar haqeeqat hadsaat ka saamna to har kisi ko hota hai aur smart phones ke liye pani tabah kin saabit hota hai .
Kyunkay pani se phone kharab honay se maali nuqsaan to hota hi hai is ke sath sath data jaisay qeemti tasaveer, ahem phone number aur deegar bhi zaya ho saktay hain ( agar un ka back up nah ho to ) .
Waisay to is ka behtareen option warranty honay par theek karwana hai. Agar warranty ka option nah ho to kya karna chahiye ?
Yahan aisi tricks di jarahi hain jo phone ko kisi had tak dobarah kaam karne mein madad day sakti hain .
1-Fori tor par battery nikaal den
Fori tor par aisa karen, ho sakta hai ke aap ko phone on karkay dekhnay ki khwahish ho. taakay dekh saken ke woh kaam kar raha hai ya nahi, magar aisa karne se
Circuits kharab ho saktay hain .
Battery ke sath sath sim card ko bhi nikaal den jis mein Contacts ka data ho sakta hai .
2-Charge par ho to haath nah lagayen
Agar phone mein pani ic waqt gaya ho jab woh charge par laga ho to sab kuch bhool jayen aur charging cable nikalne se guraiz karen kyunkay current lagnay ka khatrah hota hai .
Behtar yeh hai ke ghar ya jis jagah bhi ho wahan ka mean switch band karne ke baad phone ko charger se nikalen .
3-khushk karne ki koshish
Jab phone mein pani jaye to aksar logon ka maqsad phone ko jald khushk karna hota hai, taham is ke liye here drayer ki madad mat len kyunkay woh phone ki geherai mein pouncha sakta hai, jabkay is device ki cooler setting bhi device ke liye kaafi garam hoti hai .
is ki jagah Compressed ke kisi can ko istemaal karen jo market mein aasani se mil jata hai, agar is ka husool mumkin nah ho to chhootey vacuum cleaner se bhi nami ko phone se khenchna mumkin ho sakta hai . taham is ko istemaal karte waqat ye ahthyat karen ke woh phone ke bohat qareeb nah ho.
4-Kitcehn mein mojood is cheez se madad len
agar Compressed ya vacuum dastyab nah hon to phone mein se nami ko nikalne ke liye phone aur battery ko allag allag kachay safaid chaawlon se bharay kisi bartan mein duubo den .
silica jail bhi is mein madad day sakta hai agar woh aap ke paas munasib miqdaar n mojood ho to .
chawal ho ya silica jail dono mein device ko raat bhar ke liye chore den ya ziyada se ziyada waqt den taakay woh assar kar saken .
5-Sooraj mein khushk karen
5-Sooraj mein khushk karen
Agar phone pani mein ziyada der nahi raha to Sooraj ki roshni bhi is ka ilaaj saabit hosakti hai .
phone ki battery nikaal kar aik khushk bartan mein usay rakh kar Sooraj ki roshni mein rakh den, taham 20 minute se ziyada waqt tak nah choden, kyunkay device over heat bhi hosakti hai .
6-freeze kar dein
agar chawal aur Compressed se koi faida nah ho, to pareshan mat hon. agar phone pani mein bohat ziyada der tak nah raha ho to aap freeze karkay bhi phone ko mumkina tor par theek kar saktay hain .
Phone ki battery nikaal kar usay kisi kaghaz mein achi terhan lapait den, phir is ke baad 15 se 20 minute ke liye freezer mein rakh den .
ic ke baad phone ko nikaal kar battery lagayen aur on karkay dekhen ke kya phone kaam kar raha hai ya nahi, agar nahi to battery phir nikaal den aur 5 ya 10 minute tak intzaar karen, jis ke baad phir usay freeze mein mazeed 20 minute ke liye rakh den . imkaan hai ke kuch koshisho ke baad phone kaam karne lagey ga .
7- Dobarah pani
Suneney mein yeh mazhaka khaiz lagey ga taham agar phone namkeen pani mein gira ho to behtar hai ke usay dobarah meethay pani mein duubo den taakay woh bach sakay .
khara pani phone mein mojood salt Crystals ko nuqsaan pouncha sakta hai jabkay taaza pani mein usay dabonay se namak ko nikalne mein madad mil sakti hai .
phone ko dobarah pani mein daalnay se qabal battery nikaal den aur is ke baad deegar tareeqon par amal karen .
8-kisi maahir ke paas le jayen
Agar sab kuch aazma liya aur phir bhi phone kaam nahi kar raha, to behtar hai ke usay phone theek karne walay mahireen ke paas le jayen taakay woh usay theek kar saken . mahireen ko yeh zaroor bitayen ke phone mein pani kitni der raha he aur aap usay theek karne ke liye kya kuch kar chukay hain .