Anjeer Khane ke Fayde
Qudrat ne insanon ko be shumaar naematain ataa ki hain jin mein se phal, sabzian, mewa jaat waghera shaamil hain, un mewa jaat mein aik Anjeer bhi shaamil hai aur Anjeer jannat ka phal bhi kehlata hai.Anjeer kamzor aur dublay logon ke liye qudrat ki Nemat hai. Anjeer jism cooper kashish aur chehray ko safaid o surkh rangat ataa karne ke sath sath dilkash bhi banati hai .
Anjeer ka shumaar aam aur mashhoor phalon mein hota hai.
Anjeer ko
Bangali mein Anjeer,
English mein fig,
Arabi mein teen,
Yemeni mein bliss,
Sansikrat, hindi, aur gujrate mein injeer aur punjabi mein Hanjeer kehte hain .
Yeh naazuk phal kehlata hai aur paknay ke baad khud bakhud hi gir jata hai aur usay dosray din tak mehfooz rakhna bhi mushkil hota hai. is ke istemaal ki behtareen soorat usay khushk khana hai .
Yeh naazuk phal kehlata hai aur paknay ke baad khud bakhud hi gir jata hai aur usay dosray din tak mehfooz rakhna bhi mushkil hota hai. is ke istemaal ki behtareen soorat usay khushk khana hai .
Anjeer ke fawaid
Anjeer digestive system behtar banati hai, agar bukhaar ki haalat mein mareez ka mun baar baar khushk hojata ho to Anjeer dene se yeh takleef rafa ho jati hai .
yeh gurde aur masana se pathri ko tahleel karkay nikaal deti hai. Anjeer ko badam aur akhrot ke sath mila kar istemaal karen to yeh khatarnaak zeher se mehfooz rakhti hai .
yeh gurde aur masana se pathri ko tahleel karkay nikaal deti hai. Anjeer ko badam aur akhrot ke sath mila kar istemaal karen to yeh khatarnaak zeher se mehfooz rakhti hai .
Anjeer ko pani mein bigho kar rakhen, chand ghantay baad phool jane par din mein 2 baar khayen, daimi qabz daur ho jata hai .
khushk Anjeer ko raat bhar pani mein rakh diya jaye to woh taaza Anjeer ki terhan phool jaye gi. usay khanay se galah baith jana ya band hojane ke amraaz peda nahi hotay .
Sardiyoon mein bachon ko khushk Anjeer khilana un ki nashonuma ke liye be had mufeed hai .
Anjeer danoton ke liye bhi behtareen hai aur yeh danoton ko mazbooti bhi fraham karti hai. kam wazan walon aur dimaghi kaam karne walon ke liye injeer behtareen tohfa hai .
khanay ke baad chand danay Anjeer khanay se ghizaiyat haasil honay ke ilawa qabz ka bhi khtama ho jata hai .
khansi, asthma aur balgham ke liye Anjeer intehai mufeed hai. Anjeer ka baqaida istemaal sir ke balon ko bhi daraaz karta hai .
Anjeer ke khanay se mun ki badboo se chhutkara haasil hota hai .
Anjeer ko sirka mein daal kar rakh den. aik hafta baad 2 ya 3 Anjeer khanay ke baad khanay se Spleen inflammation ko aaraam ajata hai .
Anjeer ko doodh ke sath istemaal karne se rangat nikhar aati hai aur jism farba hojata hai .
Taaza Anjeer tornay se jo doodh nikalta hai is ke do chaar qatray
leprosy yabars par milnay se daagh khatam ho jatay hain .
Anjeer khoon ke surkh zarraat yani red blood cells mein izafah karta hai aur zahreeley maday khatam karkay khoon ko saaf vshfaf karta hai .
jin logon ko paseena nah aata ho,
unn logon ke liye Anjeer ka istemaal mufeed hai .