Pudina Benefits in Hindi&Urdu
Pudina ke pattoun mein anti bacterial khasiyat hoti hai jo ke jald par Acne peda karne walay jaraseem ke khilaaf kaam karte hain. Jabkay is mein chehray ke daag aur dhabbe bhi saaf karne ki salahiyat hoti hai .Pudina aik sehat afzaa poda hai jo sirf khoubsurti mein hi izafah nahi karta balkay jism ke androoni nizaam ke liye bhi intehai faiday mand hai jabkay is ki munfarid khushbu sab ko apni janib khech layte hai .
1- Jism ko tar o tazah rakhta hai
Pudina aisa poda hai jo jism aur dimagh ko tar o tazah rakhta hai, ic ke istemaal se dimagh ko sukoon haasil hota hai aur jism tawanai mehsoos karta hai jis ke waja se insaan tar o tazah nazar aata hai .
2- Balon ko girnay se rokta hai
Pudina ke pattoun mein anti oxident bhoot miqdaar mein paye jatay hain jo ke balon ki nash-o-numa ke liye behtareen hain. Pudina ke pattay balon ke girnay se bachanay ke liye be had mufeed hain .
ic ke liye Pudina ke chand pattay pani mein achi terhan ubaal len aur phir is pani ko thanda karlen. ab is pani ko balon ki jaroon mein lagayen aur chand minute sir ki jald ka massage karen aur 10 se 15 minute baad sir dho len. aisa karne se baal girna kam ho jaien ge .
3- Jhuriyon mein kami
Pudina mein aisi khasiyat payi jati hai jo ke chehre ki jhuriyon ko kam karne ke liye madad gaar hai .
Pani mein Pudina ke pattay daal kar ubaalne ke baad usay chhaan kar aik spray bottle mein rakh lijiye. is spray ko din mein 2 se 3 martaba chehray par lagayen ic se jald chamakdar hojati aur jhuriyon mein khatir khua kami hoti hai .
4- Nizam e hazam behtar banata hai
Agar aap mirch masalhay se bhar poor ya roghni ghiza khanay ke baad ya ic ke sath Pudina ke chand pattay kh len to khana ba aasani se hazem hojata hai aur seenay ki jalan ki shikayat nahi hoti .
5- khushbu aur zaiqay mein izafah karta hai
Pudina ki aik aur khoobi ic ki munfarid aur taiz khushbu hai. isi liye usay khaano ki sajawat ke liye bhi istemaal kya jata hai. aur yeh khushbu na sirf bhook mein izafah karti hai balkay khanay ko mazeed zaiqay daar bhi bana deti hai .