Khira Khane Ke Fayde
Aam si nazar anay wali sabzi khaas tor par salad mein khanay ke liye istemaal ki jati hai. Khira yani Cucumber ko log ziyada tar garmiyon mein khana pasand karte hain lekin usay har mosam mein kha kar bhi be shumaar fawaid haasil kiye jasaktay hain .Cucumber, salad ka laazmi juz he jo saal ke baara mahinay har mausam mein sabzi ki dukaan se ba aasani khareeda ja sakta hai. aap Cucumber khanay ke be intahaa fawaid jaan len to Cucumber ko –apne mamool ka hissa bana len ge .
Cucumber se jism ke liye izafi pani miley ga
Pani jism ki safai bahar se bhi karta hai aur andar se bhi. Yeh zaroori ghizai ajza ki tarseel poooray jism mein karta hai aur jald aur jism ko khushk honay se bachata hai .
Cucumber 95 feesad pani par mushtamil hai is liye samajh len ke aap Cucumber ko khatay bhi hain aur peetay bhi hain .
Cucumber se tamam ghizai ajza mil satke hain
Cucumber mein calories bohat kam hoti hain. aik darmiyanay size ke kheeray mein 17-15 calories hoti hain. calories be shak kam hain lekin jitni bhi hain un mein bharpoor fibre, Carbs, protein, vitamin C, vitamin K aur vitamin B , potassium, Magnesium, iron, Zinc riboflavin aur magines mojood hain .
Cucumber wazan kaam krta hai
Cucumber me pani bhhot mikdar me hota he. Tehqeeq se saabit hota hai ke izafi pani wali sabzian ho ya phal, wazan kam karne mein bohat madadgaar saabit hoti hain. aik University ki tehqeeq ke mutabiq pani peenay se calories jalanay mein bohat madad millti hai .
Cucumber zehni dabao kam karne mein madad karsaktha hai
Cucumber mein paye jane walay bhoot se vitamin jaisay B1, B5, B7 zehni tanao aur is ke asraat ko kam karne mein madad dainay ke liye jane jatay hain .
is ke peechay barri wajah vitamin B ka energy peda karna hai. vitamin B pani mein ghul jane walay vitamin hotay hain aur yeh hazme mein ahem kirdaar ada karte hain .
Cucumber khoon mein sugar ki satah kam karta hai
Cucumber mein vitamin C, Beta carotene aur migniz samait kahi or terhan ke Anti oxidants bhi hotay hain. Yeh Polyphenols khoon mein kharab cholesterol or sugar ki satah kam karne mein madad gaar saabit hotay hain .
dawaiyon ki online maloomat fraham karne walay American Website web MD ke mutabiq Cucumber mein paye jane walay Polyphenols bilkul isi terhan kaam karte hain jaisay diabities ki duwaein kaam karti hain .
Cucumber se aap ka dil behtar kaam karta hai
Cucumber mein mojood potassium dil ko behtar bananay mein ahem kirdaar ada karta hai. potassium se Muscles, Nerves or Kidneys ko khoon behtar tareeqay se filter krne mein madad deti hai or nateeje me dil tak saaf khoon pohanchana hai or tamam ka tamam jism sehat mand rehta hai .
Cucumber se baal aur jald behtar hotay hain
Cucumber mein mojood vitamin A, vitamin B , vitamin C, vitamin K, migniz, copper or potassium jism mein mdafati nizaam ko behtar karne mein bunyadi kirdaar ada karte hain .
Or jab aap ka jism or ic ka Immune system achi haalat mein ho to is ki jhalak aap ke balon, nakhunon aur jald mein bhi nazar aati hai .
mazeed yeh ke Cucumber mein silica bhi bharpoor miqdaar mein hota jo balon or nakhunon ki nasho o numa ke liye zaroori hota hai. naakhun, jald aur baal mein mojood Keraton ko bananay ke liye Sulfur ki zaroorat hoti hai. yeh Sulfur bhi Cucumber mein mojood hota hai