Kishmish Benefits in Roman Urdu
Khushk angarro ko kishmish kaha jata hai.kishmish me iron, fibre, potassium mignishim se bharpoor anti oxident mewa hai, jis ka rozana istemaal sehat ke liye mufeed hai .
Mahireen rozana 5 kishmish khanay ka mahswara dete hain, un ke mutabiq yeh anti ageing honay ke sabab chaiyon se hifazat, douran khoon mein behtari laane ke sath danoton aur masoorho ki sehat ke liye bohat mufeed hai.
Yeh mewa corbohydrate honay ke sabab jismani tawanai berhata aur be khwabi se nijaat dilaata hai jabkay blood pressure control karne mein bhi mufeed hai
Mosam e sarma mein kishmish khanay ke bhot fawaid hain jin mein se kuch yahan betaye jarahay hain .
1-Khushk jald ke liye faiday mand
Sardiyoon mein jald khُshk aur kharab hojati hai jis ki wajah se khaas tor par khawateen bohat pareshan rehti hain .
Kishmish mein vitamin C, Selenium aur zank mojood hotay hain jo khobsorat jald ke liye bohat zaroori hain,
kishmish mein mojood anti oxident jald ko jawan aur sehat mand rakhtay hain .
2-Digestive system ko behtar kere
sardiyoon mein rozana kishmish khanay ka aik faida yeh bhi hai ke iss se aap ka Digestive system behtar hota hai, kishmish mein mojood fibre aap ke hazme ko behtar karte hain aur iss ke sath hi zahreeley aur ghair zaroori madon ko aap ke nizaam haazma mein anay se roktay hain .
kishmish khanay se aanten bhi saaf hoti hain, iss liye zaroori hai ke mosam e sarma mein kishmish ko apni rozana ki ghiza mein shaamil kya jaye .
3- Tezabiyat se nijaat
kishmish mein qudrati tor par faida mand madniyaat paye jatay hain jaisay potassium, copper, iron aur mignishim jo tezabiyat se nijaat dilaati hain aur maiday mein tezabiyat ki satah ko mutawazan rakhnay mein bhi Muawin saabit hotay hain .